Custom Search

Tuesday, 14 February 2012

JAWAAN BETI KO KAISA HONA CHAHIYE ?



JAWAAN BETI KO KAISA HONA CHAHIYE ?
---------------------------------------------------
" Bete (sons) Naimat Hein Aur Betiyaan (daughters) Rehmat Hein."

Mera mozu Betiyaan Rehmat Hein Aur Inn Ko Kaisa Hona Chahiye?

Yani aik larki jab BAAP k ghar aati hey to Hadees mein hey k rehmat ban kar aati hey,,,,,
jab SHOHAR k ghar jati hey to nisf emaan ki muhafiz ban kar jati hey aur
jab MAA banti hey to apne bachun ki khidmat ki zamin hey

Yani Aurat ki zindagi teen adwaar par muheet hey.

1) Beti Hey
2) Biwi Hey
3) Maa Hey

BETI k roop mein tarbiyat pati hey...

BIWI k roop mein iss tarbiyat ka asar zahir karti hey aur

MAA k roop mein tarbiyat karti hey ya yun kahun k AURAT seekhti hey,,,
Seekhe hue par amal karti hey aur phir uss seekhe hue ko amanat samajh kar aage naslun mein muntaqil kar daiti hey...


Jab larki sharai lihaaz se baloghat ki umar yani 9 saal tak pohanch jati hey to uss ki zimadariyun ka zamana shuru ho jata hey, uss par sharai zimadariyaan aaid ho jati hein goya k aik naye marhale ka aaghaaz hota hey aur uss umar k baad insaani fikar bachpane se nilak kar aik nai rah ki mutlashi hoti hey aur iss moqa par bhatakne k bohat ziyada mowaqe hote hein.

Humare mashare mein bohat si ra'naiyaan aisi hein k bazahir insaan unn k farefta ho jata hey MAGAR ye ra'naiyaan andar hi andar insaan k liye zehar e qatil sabit hoti hein...
Uss ki waziya misaal CABEL waghaira hey jo k jawaan nasal ki tabahee ka baais ban rahe hein..


Lekin jis larki ki tarbiyat Islami taleemaat ke mutabiq hui ho gi wo kabhi gumrah nahi ho gi!



AURAT par poori nasal ki zimmaydari hoti hai, iss zimadaari ko yun pura karne k liye uss khud tarbiyat yaafta hona chahiye,,

Pehle marhale mein ye achi tarbiyat ki mohtaaj hey
aur phir dusre marhale mein yani san balogh k baad uss ki zimadariyun ka silsila bharta chala jata hey... uss ki zimadaariyan teen qisam ki hein

1) Islami Zimadaariyan
2) Masharti Aur Khandani Zimadaariyan
3) Islaam Ke Ahkamaat Par Amal Karna jin ka asbaat Quraan o Ahadees se hota hey aur masharti o khandani zimadaariyun k baare mein bhi Ahadees aur riwayaat mein bataya gaya hey... mashare mein jawaan nasal ki ye zimadaari hey k woh ahsaas e zimadaari rakhti ho,,,khud ba amal ho,,islami ahkamaat ki pairo kaar ho,,,nafsani khawahishaat ki shikast daine waali ho,,,inn tamam amur ko ahsan tareeqe se anjaam daine k liye jawaani mein tarbiyat ki zarurat hoti hey.

Khulasa ye k hamein chahiye k ham Janab e Bibi Syeda Fatima Zahra (R.A) aur Janab e Bibi Syeda Zainab (R.A) ko apna ideal banayein aur Unn ki zindagi k baare mein jaan kar Unn k naqsh e qadam par chalen takay aakhirat mein surkhru ho sakein...

Aaiye sab Dua Maangain ke

YA ALLAH
Humain aisi Maa. Bahen. Beti aur Biwi bannay ki taufeeq de jis se TU aur tera Pyara Habeeb Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) Raazi ho'n..
Ameen Sum e Ameen

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...